mirī dāstān-e-alam to sun koī zalzala nahīñ aa.egā
mirā mudda.ā nahīñ aa.egā tirā tazkira nahīñ aa.egā
ka.ī ghāTiyoñ pe muhīt hai mirī zindagī kī ye rahguzar
tirī vāpsī bhī huī agar tujhe rāsta nahīñ aa.egā
agar aa.e dasht meñ jhel to mujhe ehtiyāt se pheñknā
ki maiñ barg-e-ḳhushk huuñ dosto mujhe tairnā nahīñ aa.egā
agar aa.e din tirī raah meñ tirī khoj meñ tirī chaah meñ
yūñhī qāfile jo luTā kiye koī qāfila nahīñ aa.egā
kahīñ intihā kī malāmateñ kahīñ pattharoñ se aTī chhateñ
tire shahr meñ mire ba.ad ab koī sar-phirā nahīñ aa.egā
koī intizār kā fā.eda mire yaar 'bedil'-e-ġham-zada
tujhe chhoḌ kar jo chalā gayā nahīñ aa.egā nahīñ aa.egā