ye jo chehroñ pe liye gard-e-alam aate haiñ
ye tumhāre hī pashemān-e-karam aate haiñ
itnā khul kar bhī na ro jism kī bastī ko bachā
bārisheñ kam huuñ to sailāb bhī kam aate haiñ
tū sunā terī masāfat kī kahānī kyā hai
mere raste meñ to har gaam pe ḳham aate haiñ
ḳhol chehroñ pe chaḌhāne nahīñ aate ham ko
gaañv ke log haiñ ham shahr meñ kam aate haiñ
vo to 'bedil' koī sūkhā huā pattā hogā
tere āñgan meñ kahāñ un ke qadam aate haiñ