bhuuk chehroñ pe liye chāñd se pyāre bachche
bechte phirte haiñ galiyoñ meñ ġhubbāre bachche
in havāoñ se to bārūd kī bū aatī hai
in fazāoñ meñ to mar jā.eñge saare bachche
kyā bharosa hai samundar kā ḳhudā ḳhair kare
sīpiyāñ chunñe ga.e haiñ mire saare bachche
ho gayā charḳh-e-sitamgar kā kaleja ThanDā
mar ga.e pyaas se dariyā ke kināre bachche
ye zarūrī hai na.e kal kī zamānat dī jaa.e
varna saḌkoñ pe nikal ā.eñge saare bachche