Bedil Haidri

an-kahi ko kahi banana hai

Bedil Haidri

Meerut, Uttar pradesh, India

1924-2004
an-kahī ko kahī banānā hai
e'tibār-e-suḳhan baḌhānā hai
mere andar kā pāñchvāñ mausam
kis ne dekhā hai kis ne jaanā hai
DugDugī hī nahīñ bajānī mujhe
ishq ko naach bhī sikhānā hai
tum jo itnā uThā rahe ho mujhe
kis kueñ meñ mujhe girānā hai
raat ko roz Duub jaatā hai
chāñd ko tairnā sikhānā hai
hijr meñ niiñd kyuuñ nahīñ aatī
hijr kā zā.icha banānā hai
maiñ vo bosīda qabr huuñ 'bedil'
dafn jis meñ mirā zamāna hai
Top Urdushayar.com