tasavvur meñ salām aate raheñge
mohabbat ke payām aate raheñge
kamī mumkin nahīñ hai bām-o-dar kī
nazar māh-e-tamām aate raheñge
nigāhoñ se mileñgī jab nigāheñ
to ḳhud gardish meñ jaam aate raheñge
kashish un meñ agar hogī zarā sī
parinde zer-e-dām aate raheñge
shab-e-furqat shab-e-furqat na hogī
tasavvur kuchh to kaam aate raheñge
vaqār-e-sher-o-fan baḌhtā rahegā
agar kuchh ḳhush-kalām aate raheñge
'bajāj' un ko jo rokegā zamāna
vo ḳhvāboñ meñ mudām aate raheñge