Om Parkash Bajaj

jab bhi jaan-e-bahaar milta hai

Om Parkash Bajaj

Firozpur, Punjab, India

1922
jab bhī jān-e-bahār miltā hai
dil ko sabr-o-qarār miltā hai
baat dil kī jo ho to kyuuñ kar ho
vo sar-e-rahguzār miltā hai
yaad kuchh qāfiloñ kī aatī hai
jab bhī uḌtā ġhubār miltā hai
nazm-e-gulshan meñ kuchh to hai ḳhāmī
har koī sogvār miltā hai
bāda-e-talḳh meñ kahāñ hamdam
jo nazar meñ ḳhumār miltā hai
rahravoñ ke ḳhulūs se aksar
manziloñ ko vaqār miltā hai
Top Urdushayar.com