bhuul kar tū saare ġham apne chaman meñ raqs kar
jaag ai darvesh-e-jāñ mere badan meñ raqs kar
Daal kar chādar vafā kī tū mazār-e-ishq par
dār-e-mansūrī pe aa is pairahan meñ raqs kar
tū garebāñ-chāk jo niklā hai ġham kī bhiiḌ meñ
jā chalā jā chhoḌ sab tū us ke man meñ raqs kar
bārgāh-e-husn meñ jhuk kar salāmī pesh kar
bāñdh kar ghuñgrū guloñ ke bāñkpan meñ raqs kar
kis liye jalne nahīñ detī charāġhoñ ko mire
ai havā tū jā kahīñ koh-o-daman meñ raqs kar
ye rumūz-e-ma.arifat tujh par ayaañ hoñge tabhī
pī tarīqat kā subū aur is agan meñ raqs kar