Hasan Barelvi

husn jab maqtal ki jaanib tegh-e-burran le chala

Hasan Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1859-1908
husn jab maqtal kī jānib teġh-e-burrāñ le chalā
ishq apne mujrmoñ ko pā-ba-jaulāñ le chalā
ḳhūn-e-nāhaq kī hayā bolī zarā muñh Dhāñk lo
naaz jab un ko sar-e-ḳhāk-e-shahīdāñ le chalā
ḳhāk-e-āshiq rokne ko duur tak lipTī ga.ī
jab samand-e-nāz ko vo garm-jaulāñ le chalā
jab chalī maqtal se qātil kī savārī raat ko
aage aage mish.aleñ ḳhūn-e-shahīdāñ le chalā
ārzū-e-dīd-e-jānāñ bazm meñ laa.ī mujhe
bazm se maiñ ārzū-e-dīd-e-jānāñ le chalā
DhūñDtī thī har taraf kis ko nigāh-e-vāpsīñ
aas kis ke diid kī bīmār-e-hijrāñ le chalā
nāz-e-āzādī 'hasan' vaj.h-e-asīrī ho gayā
mū-kashāñ dil ko ḳhayāl-e-zulf-e-paimāñ le chalā
Top Urdushayar.com