ā.īna tumhāre naqsh-e-pā kā
ḳhurshīd ko de sabaq jilā kā
o vasl meñ muñh chhupāne vaale
ye bhī koī vaqt hai hayā kā
jab aañkh khulī to be-ḳhudoñ se
parda thā jamāl-e-ḳhud-numā kā
dil aur vo but zahe muqaddar
zulm aur ye dil ġhazab ḳhudā kā
jā baiThe haiñ mujh se duur uTh kar
kyā paas kiyā hai iltijā kā
bole vo 'hasan' kā ḳhuun mal kar
kyā shoḳh hai rañg is hinā kā