Hasan Barelvi

chashm-e-zahir se ruKH-e-yar ka parda dekha

Hasan Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1859-1908
chashm-e-zāhir se ruḳh-e-yār kā parda dekhā
āñkheñ jab phuuT ga.iiñ tab ye tamāshā dekhā
dekhnā ye hai ki ham ne tumheñ kaisā chāhā
pūchhnā ye hai ki tum ne hameñ kaisā dekhā
phir jalāo.ge kabhī tālib-e-dīdār kā ḳhat
saikḌoñ āñkhoñ se us ne tumheñ dekhā dekhā
kaan vo kaan hai jis ne tirī āvāz sunī
aañkh vo aañkh hai jis ne tirā jalva dekhā
aap kahte haiñ ki jā dekh liyā dil terā
kahiye to apne sivā dil meñ mire kyā dekhā
tum ḳhabar bhī na hue ḳhāna-ba-doshoñ se kabhī
ham ne ghar phūñk diyā sab ne tamāshā dekhā
jin se hoñ soḳhta-jānoñ ke kaleje ThanDe
unhīñ jalvoñ se 'hasan' tuur ko jaltā dekhā
Top Urdushayar.com