Hasan Barelvi

mere marne se tumko fikr ai dildar kaisi hai

Hasan Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1859-1908
mire marne se tum ko fikr ai dildār kaisī hai
tumhārī dil-lagī ko mahfil-e-aġhyār kaisī hai
hamāre ghar se jaanā muskurā kar phir ye farmānā
tumheñ merī qasam dekho mirī raftār kaisī hai
vo mujh se pūchhte haiñ ġhair se aur tum se kyuuñ bigḌī
zarā ham bhī suneñ aapas meñ ye takrār kaisī hai
ma.āz-allāh barq-e-husn kis kī āñkheñ uThne de
tamāshā.ī nahīñ vāqif ki shakl-e-yār kaisī hai
'hasan' jām-e-mai-e-gul-rañg le kar sochte kyā ho
agar qīmat nahīñ qīmat meñ ye dastār kaisī hai
Top Urdushayar.com