Hasan Barelvi

wo man gae to wasl ka hoga maza nasib

Hasan Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1859-1908
vo man ga.e to vasl kā hogā mazā nasīb
dil kī girah ke saath khulegā mirā nasīb
khā.eñge rahm aap agar dil bigaḌ gayā
ho jā.egā milāp agar laḌ gayā nasīb
shab bhar jamāl-e-yār ho āñkhoñ ke rū-ba-rū
jāgeñ nasīb jis ko ho ye ratjagā nasīb
pahrā diyā hai daulat-e-bedār-e-husn kā
so.e jo vo baġhal meñ to jaagā mirā nasīb
pahuñchā ke merī ḳhaak dar-e-yār tak sabā
ruḳhsat huī ye kah kar ab aage tirā nasīb
ai dil vo tujh se kahte haiñ merī balā mile
aise tire nasīb kahāñ ai balā-nasīb
jab dard-e-dil baḌhā to unheñ rahm aa gayā
paidā huī chamak to chamakne lagā nasīb
dushman ko lutf-e-vasl 'hasan' ko ġham-e-firāq
har shaḳhs kā judā hai muqaddar judā nasīb
Top Urdushayar.com