rāz-e-dil laate haiñ zabāñ tak ham
dukh bhareñ ai ḳhudā kahāñ tak ham
aur vo ham se khiñchte jaate haiñ
minnateñ karte haiñ jahāñ tak ham
na uḌā bāġhbāñ ki gulshan-e-dil
aur haiñ āmad-e-ḳhizāñ tak ham
aap ke lutf ne to qahr kiyā
ḳhuub the jaur-e-āsmāñ tak ham
āsmāñ tak gayā hai sail-e-sarishk
dil ko royā kareñ kahāñ tak ham
un kā aanā bhī ab nahīñ manzūr
jaan se tañg haiñ yahāñ tak ham
terā paiġhām bhī sunā deñge
ai 'hasan' pahuñcheñ to vahāñ tak ham