mil gayā dil nikal gayā matlab
aap ko ab kisī se kiyā matlab
husn kā ro.ab zabt kī garmī
dil meñ ghuT ghuT ke rah gayā matlab
na sahī ishq dukh sahī nāseh
tujh ko kyā kaam tujh ko kyā matlab
muzhda ai dil ki nīm-jāñ huuñ maiñ
ab to puurā huā tirā matlab
apne matlab ke āshnā ho tum
sach hai tum ko kisī se kyā matlab
ātish-e-shauq aur bhaḌkī hai
muñh chhupāne kā khul gayā matlab
kuchh hai matlab to dil se matlab hai
matlab-e-dil se un ko kyā matlab
un kī bāteñ haiñ kitnī pahlū-dār
sab samajh leñ judā judā matlab
us ko ghar se nikāl kar ḳhush ho
kyā 'hasan' thā raqīb kā matlab