dekhe agar ye garmi-e-bāzār āftāb
sar bech kar ho terā ḳharīdār āftāb
vo husn-e-ḳhud-farosh agar be-naqāb ho
mahtāb mushtarī ho ḳharīdār āftāb
poshīda gesuoñ meñ huā rū-epur-ziyā
hai aaj mehmān-e-shab-e-tār āftāb
us kī tajalliyoñ se kare kaun ham-sarī
ho jis ke naqsh-e-pā se numūdār āftāb
ahbāb ko 'hasan' vo chamaktī ġhazal sunā
har lafz se ho jis ke numūdār āftāb