husn jab maqtal kī jānib teġh-e-burrāñ le chalā
ishq apne mujrmoñ ko pā-ba-jaulāñ le chalā
ārzū-e-dīd-e-jānāñ bazm meñ laa.ī mujhe
bazm se maiñ ārzū-e-dīd-e-jānāñ le chalā
bismiloñ ko zaḳhm zaḳhmoñ ko mubārak lazzateñ
sū-e-maqtal phir koī teġh-o-namak-dāñ le chalā
ḳhūn-e-nāhaq kī hayā bolī zarā muñh Dhāñk lo
naaz jab un ko sar-e-ḳhāk-e-shahīdāñ le chalā
kaT gayā āshiq sar-e-bāzār saudā bik gayā
jān-e-lailā ishq ne dil husn-e-ḳhūbāñ le chalā
ḳhāk-e-āshiq rokne ko duur tak lipTī ga.ī
jab samand-e-nāz ko vo garm-jaulāñ le chalā
mere ghar tak paañv paḌ kar un ko laayā thā niyāz
naaz dāman khīñchtā sū-e-raqībāñ le chalā
dil ko jānāñ se 'hasan' samjhā-bujhā ke laa.e the
dil hameñ samjhā-bujhā kar sū-e-jānāñ le chalā