hāl-e-marg-e-be-kasī sun kar asar koī na ho
sach to ye hai aap sā bhī be-ḳhabar koī na ho
haa.e dushman dekheñ un ke uThte jauban kī bahār
haa.e maiñ koī na huuñ merī nazar koī na ho
is tamannā par kaTe marte haiñ mushtaqān-e-qatl
yaar par qurbān ham se peshtar koī na ho
vo qayāmat kī ghaḌī hai tālib-e-dīdār par
jab uThe pardā to parde ke udhar koī na ho
ishq meñ be-tābiyāñ hotī haiñ lekin ai 'hasan'
jis qadar bechain tum ho us qadar koī na ho