Basir Sultan Kazmi

kar liya din mein kaam aaTh se panch

Basir Sultan Kazmi

Lahore, Punjab, Pakistan

1953
kar liyā din meñ kaam aaTh se pāñch
ab chale daur-e-jām aaTh se pāñch
chāñd hai aur āsmān hai saaf
rahiye bālā-e-bām aaTh se pāñch
ab to ham ban ga.e haiñ ek machine
ab hamārā hai naam aaTh se pāñch
sher kyā shā.irī ke baare meñ
sochnā bhī harām aaTh se pāñch
kuchh ḳharīdeñ to bhaav pāñch ke aaTh
aur becheñ to daam aaTh se pāñch
vo mile bhī to bas ye pūchheñge
kuchh milā kām-vām aaTh se pāñch
sohbat-e-ahl-e-zauq hai 'bāsir'
ab sunāo kalām aaTh se pāñch
Top Urdushayar.com