duur saayā sā hai kyā phūloñ meñ
chhuptī phirtī hai sabā phūloñ meñ
itnī ḳhushbū thī ki sar dukhne lagā
mujh se baiThā na gayā phūloñ meñ
chāñd bhī aa gayā shāḳhoñ ke qarīb
ye nayā phuul khilā phūloñ meñ
chāñd merā hai sitāroñ se alag
phuul merā hai judā phūloñ meñ
chāñdnī chhoḌ ga.ī thī ḳhushbū
dhuup ne rañg bharā phūloñ meñ
titliyāñ qumriyāñ sab uḌ bhī ga.iiñ
maiñ to soyā hī rahā phūloñ meñ
ruk gayā haath tirā kyuuñ 'bāsir'
koī kāñTā to na thā phūloñ meñ