har-chand mere haal se vo be-ḳhabar nahīñ
lekin vo be-kalī jo idhar hai udhar nahīñ
āvāz-e-raftagāñ mujhe laatī hai is taraf
ye rāsta agarche mirī rahguzar nahīñ
chamkī thī ek barq sī phūloñ ke ās-pās
phir kyā huā chaman meñ mujhe kuchh ḳhabar nahīñ
kuchh aur ho na ho chalo apnā hī dil jale
itnā bhī apnī aah meñ lekin asar nahīñ
aatī nahīñ hai in se shanāsā.ī kī mahak
ye mere apne shahr ke dīvār-o-dar nahīñ
'bāsir' jagā diyā hai tumheñ kis ne aadhī raat
is dasht meñ to nām-o-nishān-e-sahar nahīñ