bādal hai aur phuul khile haiñ sabhī taraf
kahtā hai dil ki aaj nikal jā kisī taraf
tevar bahut ḳharāb the sunte haiñ kal tire
achchhā huā ki ham ne na dekhā tirī taraf
jab bhī mile ham un se unhoñ ne yahī kahā
bas aaj aane vaale the ham aap kī taraf
ai dil ye dhaḌkaneñ tirī ma.amūl kī nahīñ
lagtā hai aa rahā hai vo fitna isī taraf
ḳhush thā ki chaar nekiyāñ haiñ jam.a us ke paas
nikle gunāh bīsiyoñ ulTā mirī taraf
'bāsir' adū se ham to yūñhī bad-gumāñ rahe
thā un kā iltifāt kisī aur hī taraf