hazār kahtā rahā maiñ ki yaar ek minute
kiyā na us ne mirā intizār ek minute
maiñ jāntā huuñ ki hai ye ḳhumār ek minute
idhar bhī aa.ī thī mauj-e-bahār ek minute
patā chale ki hameñ kaun kaun chhoḌ gayā
zarā chhaTe to ye gard-o-ġhubār ek minute
abad talak hue ham us ke vasvasoñ ke asiir
kiyā thā jis pe kabhī e'tibār ek minute
agarche kuchh nahīñ auqāt ek hafte kī
jo sochiye to haiñ ye das hazār ek minute
phir aaj kaam se tāḳhīr ho ga.ī 'bāsir'
kisī ne ham se kahā baar baar ek minute