Basir Sultan Kazmi

hum jaise tegh-e-zulm se Dar bhi gae to kya

Basir Sultan Kazmi

Lahore, Punjab, Pakistan

1953
ham jaise teġh-e-zulm se Dar bhī ga.e to kyā
kuchh vo bhī haiñ jo kahte haiñ sar bhī ga.e to kyā
uThtī raheñgī dard kī Tīseñ tamām umr
haiñ zaḳhm tere haath ke bhar bhī ga.e to kyā
haiñ kaun se bahār ke din apne muntazir
ye din kisī tarah se guzar bhī ga.e to kyā
ik makr hī thā aap kā īfā-e-ahd bhī
apne kahe se aaj mukar bhī ga.e to kyā
ham to isī tarah se phireñge ḳharāb-hāl
ye sher tere dil meñ utar bhī ga.e to kyā
'bāsir' tumheñ yahāñ kā abhī tajraba nahīñ
bīmār ho? paḌe raho, mar bhī ga.e to kyā
Top Urdushayar.com