ḳhat meñ kyā kyā likhūñ yaad aatī hai har baat pe baat
yahī behtar ki uThā rakhkhūñ mulāqāt pe baat
raat ko kahte haiñ kal baat kareñge din meñ
din guzar jaa.e to samjho ki ga.ī raat pe baat
apnī bātoñ ke zamāne to havā-burd hue
ab kiyā karte haiñ ham sūrat-e-hālāt pe baat
log jab milte haiñ kahte haiñ koī baat karo
jaise rakkhī huī hotī ho mire haat pe baat
mil na sakne ke bahāne unheñ aate haiñ bahut
DhūñD lete haiñ koī ham bhī mulāqāt pe baat
dūsroñ ko bhī mazā sunñe meñ aa.e 'bāsir'
apne aañsū kī nahīñ kījiye barsāt pe baat