Basir Sultan Kazmi

maujib-e-rang-e-chaman KHun-e-shahidan nikla

Basir Sultan Kazmi

Lahore, Punjab, Pakistan

1953
maujib-e-rañg-e-chaman ḳhūn-e-shahīdāñ niklā
maut kī jeb se bhī ziist kā sāmāñ niklā
Thokareñ khaa.ī haiñ utnī ki ab apne dil se
shauq-e-āvārgī-e-dasht-o-bayābāñ niklā
ham bahut ḳhush the ki jaag uTThī hai apnī qismat
aane vaalā kisī hamsā.e kā mehmāñ niklā
hai ajab baat ki jis raste pe ham chal nikle
ghuum phir kar vo sar-e-kūcha-e-jānāñ niklā
be-hisī ne jo kabhī fursat-e-ġham dī ham ko
ek sailāb-e-nahufta tah-e-mizhgāñ niklā
chārāgar ḳhatra-e-jāñ kahte the jis ko 'bāsir'
vahī ġham bā.is-e-ārām-e-rag-e-jāñ niklā
Top Urdushayar.com