Baqar Mehdi

bujhi bujhi hai sada-e-naghma kahin kahin hain rabab raushan

Baqar Mehdi

Rudauli, Uttar pradesh, India

1927-2006
bujhī bujhī hai sadā-e-naġhma kahīñ kahīñ haiñ rabāb raushan
Thahar Thahar ke gire haiñ aañsū bikhar bikhar ke haiñ ḳhvāb raushan
savāl mab.hūt se khaḌe haiñ ki jaise sīnoñ meñ dil nahīñ haiñ
ufuq ke us paar jā ke dekho shikasta muztar javāb raushan
vo bekasī hai ki al-atash kī sadā.eñ ḳhāmosh ho ga.ī haiñ
kahāñ hai koī husain yaaro ki har taraf hai sarāb raushan
ajiib ġhamnāk haiñ havā.eñ lahū lahū hai fazā-e-gañgā
taḌaptī maujeñ shikasta kashtī bujhe diye aur habāb raushan
ġhulām gardish meñ hai añdherā hai dam-ba-ḳhud surḳh sā saverā
kafan pahan kar nikal chuke haiñ ġharīb 'bāqar' navāb-raushan
Top Urdushayar.com