dil lagā lete haiñ ahl-e-dil vatan koī bhī ho
phuul ko khilne se matlab hai chaman koī bhī ho
sūrat-e-hālāt hī par baat karnī hai agar
phir muḳhātab ho koī bhī anjuman koī bhī ho
hai vahī lā-hāsilī dast-e-hunar kī muntazir
āḳhirash sar phoḌtā hai kohkan koī bhī ho
shā.erī meñ aaj bhī miltā hai 'nāsir' kā nishāñ
DhūñDte haiñ ham use bazm-e-suḳhan koī bhī ho
ādateñ aur hājateñ 'bāsir' badaltī haiñ kahāñ
raqs bin rahtā nahīñ tā.ūs ban koī bhī ho