Dar maut kā na ḳhauf kisī devtā kā thā
vo fat.h-yāb yuuñ thā ki banda ḳhudā kā thā
pahle bhī hādsāt hue zindagī ke saath
lekin jo aaj dekhā vo manzar balā kā thā
lo vo bhī gir gayā mire āñgan kā peḌ aaj
har vaqt jis se aasrā taaza havā kā thā
sun kar jise pahāḌoñ ke siine dahal ga.e
ye bhī karishma dosto apnī sadā kā thā
tūfāñ se bach nikalne kī sūrat na thī koī
ye faiz merī maañ ke hī dast-e-duā kā thā
tum bhī bhulā do tark-e-ta.alluq kā vāqi.a
ham bhī ye soch leñge ki jhoñkā havā kā thā
sāhil pe lā ke aap safīne jalā diye
ye kaam bhī 'vasīm' hamārī anā kā thā