jaane kyuuñ bhaa.ī kā bhaa.ī khul ke dushman ho gayā
ghar meñ dīvāreñ uThānā ab to fashion ho gayā
ek muflis ko saḌak par gāliyāñ dene ke ba.ad
vo samajhtā hai hamārā naam raushan ho gayā
aaj to aa.e hameñ kis kī qayādat par yaqīñ
kal jo apnā rahnumā thā aaj rahzan ho gayā
dekh kar bachchoñ ko bhī ab yaad aatā hī nahīñ
mahv kuchh aisā hamāre dil se bachpan ho gayā
chhāte chhāte chhā ga.ī fasl-e-bahārāñ par ḳhizāñ
dekhte hī dekhte pāmāl gulshan ho gayā
maiñ ne to haq baat hī muñh se nikālī thī 'vasīm'
jaane kyuuñ saarā zamāna merā dushman ho gayā