tujh pe ham ik kitāb likh baiThe
is ko kār-e-savāb likh baiThe
dostoñ ke sulūk ko bhī ham
aaj koī azaab likh baiThe
us ko likhnā thā kam-nazar lekin
haa.e ālī-janāb likh baiThe
ham ko likhnī thī ik ġhazal lekin
apne ġham kā hisāb likh baiThe
terī qāmat kī baat jab aa.ī
husn kā ik nisāb likh baiThe
garche ḳhat kā hai intizār abhī
phir bhī ham haiñ javāb likh baiThe
ḳhat meñ alqāb us ko ai 'ḳhushtar'
taaza rañgīñ gulāb likh baiThe