Mansoor Khushtar

tere jaur-o-jafa ka hum kabhi shikwa nahin karte

Mansoor Khushtar

Darbhanga, Bihar, India

1986
tire jaur-o-jafā kā ham kabhī shikva nahīñ karte
mohabbat jis se karte haiñ use rusvā nahīñ karte
hamāre sheva-e-taslīm kī bhī qadr kar tū kuchh
ki fariyād-o-fuġhāñ āh-o-bukā naala nahīñ karte
mohabbat meñ bhī ham me.aar kā kuchh paas rakhte haiñ
kisī hālat meñ bhī ḳhuddārī kā saudā nahīñ karte
mohabbat karne vāloñ kā alag ik apnā maz.hab hai
vo rāh-e-ishq meñ sūd-o-ziyāñ dekhā nahīñ karte
raqīboñ ko sar-e-mahfil jo baazū meñ biThāte haiñ
dil-āzārī mirī karte haiñ aap achchhā nahīñ karte
hai poshīda yahāñ bhī apnī izzat hī kā ik pahlū
kisī se bad-sulūkī kā tirī charchā nahīñ karte
gavārā ehtiyāt aisī mohabbat meñ hai 'ḳhushtar' ko
ki us ke naam se mansūb sher apnā nahīñ karte
Top Urdushayar.com