Mansoor Khushtar

ghaT gai hai qadr-o-qimat aaj ke insan ki

Mansoor Khushtar

Darbhanga, Bihar, India

1986
ghaT ga.ī hai qadr-o-qīmat aaj ke insān kī
ham pe ġhālib ho ga.iiñ makkāriyāñ shaitān kī
jis tarah bhī dekhiye dahshat kā ik māhaul hai
ik khilaune ke barābar haisiyat hai jaan kī
ab dukāñ bāzār meñ ahl-e-ḳhirad kī band hai
ab ijāra-dārī hai dānā.ī par nādān kī
maiñ ne ye sachchā.ī jaanī hai bahut khone ke ba.ad
dostī achchhī nahīñ hotī kabhī nādān kī
zindagī kī mushkiloñ kā hal hai apnā hausla
kuchh usī se hotī hai khetī harī armān kī
zor-e-bātil ko zamāne meñ mayassar hai faroġh
aabrū ḳhatre meñ hai ab sāhib-e-īmān kī
zinda rahnā aaj kal 'ḳhushtar' bahut dushvār hai
bālā-dastī aaj dekhī jaatī hai balvān kī
Top Urdushayar.com