vo merī bekasī par kaash thoḌā mehrbāñ hotā
pareshāñ-hāl ho kar maiñ yaqīnan shādmāñ hotā
yaqīñ kar ki maiñ tujh se bhī ziyāda chāhtā us ko
jo mere jaisā terā aur koī qadr-dāñ hotā
khare khoTe kā andāza tujhe bhī kuchh to lag jaatā
raqīb-e-rū-siyah kā jo liyā gar imtihāñ hotā
na hotā dasht-o-vīrāna agar sahrā-e-be-pāyāñ
ġharīb āshiq koī ābād phir jā kar kahāñ hotā
makāñ is daur meñ pocket edition bante haiñ 'ḳhushtar'
koī dālān āñgan aur koī sā.ebāñ hotā