jahāñ se ab guzarnā chāhte haiñ
ki ham jannat meñ rahnā chāhte haiñ
tavajjoh aap farmā.eñ agar to
kuchh ham bhī arz karnā chāhte haiñ
zarā teġh-e-nigah ko tez kiije
ki ham bhī kuchh taḌapnā chāhte haiñ
chhupā rakkhī jo hai vo jaam de de
vahī pī kar bahaknā chāhte haiñ
maza āshiq ko is meñ bhī hai miltā
jafā.eñ terī sahnā chāhte haiñ
hue haiñ tañg is duniyā se aise
bilā-tāḳhīr marnā chāhte haiñ
varaq 'ḳhushtar' kitāb-e-zindagī kā
koī taaza ulaTnā chāhte haiñ