bahut bār-e-garāñ ye zindagī ma.alūm hotī hai
ki ġham kā pesh-ḳhema har ḳhushī ma.alūm hotī hai
kisī se sarguzisht-e-ġham bayāñ kartā huuñ jab apnī
kahānī vo sarāsar aap kī ma.alūm hotī hai
hai mahrūmī sī mahrūmī to majbūrī sī majbūrī
ki har saa.at musībat meñ ghirī ma.alūm hotī hai
chalā huuñ jis pe ik muddat rahā huuñ āshnā jis se
vo manzil, rahguzar ab ajnabī ma.alūm hotī hai
kahāñ jā.ūñ maiñ ai 'ḳhushtar' kahūñ rūdād bhī kis se
ki jis ko dekhiye jaañ par banī ma.alūm hotī hai