merā maslak hai mohabbat dostī sheva mirā
merī manzil bhī yahī hai aur yahī rasta mirā
kyuuñ kisī se kuchh bayāñ kartā bhī maiñ rūdād-e-ġham
hāl-e-dil kā aa.ina bhī merā hai chehrā mirā
apnī vaz.a-dārī ne hone diyā rusvā nahīñ
go rahā mahrūmiyoñ se umr-bhar rishta mirā
ābla-pā.ī se kab sahrā-navardī ruk sakī
ik rafīq-e-rāh kī sūrat hai zaḳhm-e-pā mirā
dostoñ ko ho mubārak bhī fazā-e-gulistāñ
raah kab se dekhtā hai dāman-e-sahrā mirā
vaz.a-dārī dostoñ se ho sakī itnī nahīñ
dushmanoñ meñ rāt-din to hotā hai charchā mirā
aap hī ne to mohabbat se kahā thā ek din
āshiq-e-jāñ-bāz hai 'ḳhushtar' faqat tanhā mirā