thā jo ik kāfir musalmāñ ho gayā
pal meñ vīrāna gulistāñ ho gayā
chhup ke pī thī kal jahāñ pe shaiḳh ne
us jagah qaa.em ḳhumistāñ ho gayā
chāra-gar kī ab nahīñ hājat mujhe
dard hī ḳhud baḌh ke darmāñ ho gayā
mujh pe koī ho gayā hai mehrbāñ
qatl kā ab apne sāmāñ ho gayā
hai taġhāful hī kā tere faiz kuchh
rafta rafta maiñ ġhazal-ḳhvāñ ho gayā
mujh ko is mahfil meñ jaanā hī na thā
dil fidā-e-rū-e-ḳhūbāñ ho gayā
bevafā se ishq kā anjām hai
ye jo 'ḳhushtar' ḳhūn-e-armāñ ho gayā