aap jab muskurā.e ġhazal ho ga.ī
kuchh qarīb aur aa.e ġhazal ho ga.ī
toḌ kar apne gulshan se taaza gulāb
merī ḳhātir vo laa.e ġhazal ho ga.ī
lab pe fariyād to dil meñ sau iztirāb
ashk āñkhoñ meñ aa.e ġhazal ho ga.ī
vaa.e mahrūmiyāñ haa.e majbūriyāñ
dard-e-dil meñ dabā.e ġhazal ho ga.ī
maiñ ne pūchhā mohabbat unheñ mujh se hai
chup rahe muskurā.e ġhazal ho ga.ī
jab bhī añgḌā.ī tauba-shikan koī le
ek fitna uThā.e ġhazal ho ga.ī
dil meñ 'ḳhushtar' jo armāñ the so.e hue
ḳhūb-rū ik jagā.e ġhazal ho ga.ī