dard-e-dil zaḳhm-e-jigar kā rāzdāñ koī nahīñ
vāqif-e-asrār-e-ġham āzār-e-jāñ koī nahīñ
paas jis ke kuchh nahīñ māl-o-matā-e-be-bahā
us ko kyā ġham ki muhāfiz pāsbāñ koī nahīñ
kyā sulūk ham-sā.e kā batlā.e ik ḳhāna-ba-dosh
be-dar-o-dīvār sā jis kā makāñ koī nahīñ
daad ke laa.eq amīr-e-shahr hī kī zaat hai
kyūñki ab fōtpath par bhī be-amāñ koī nahīñ
ḳhāna-e-dil tak mire koī gayā to hai zarūr
naqsh pā kā chhoḌā hai lekin nishāñ koī nahīñ
roz kuchh aise guzarte is jahāñ se haiñ zarūr
haa.e jis kā rone vaalā nauha-ḳhvāñ koī nahīñ
aabrū allāh ne 'ḳhushtar' jabīñ kī rakkhī hai
jis kā is dar ke sivā hai āstāñ koī nahīñ