apnī mahfil meñ agar mujh ko nahīñ pāoge
aise hālāt meñ tum aur bhī ghabrāoge
shauq se jaur-o-sitam mujh pe karo tum lekin
apnī nādānī pe ḳhud aap hī pachhtāoge
nāz-o-andāz kī qīmat hai tire mere sabab
kis kī mahfil meñ bhalā aur ġhazab Dhāoge
koī hogā nahīñ is jins-e-vafā kā tālib
kaun hai mere sivā jis ko ye dikhlāoge
kaaT lo merī zabāñ kaise vafādār kahūñ
haath meñ baale kaḌe paañv meñ pahnāoge
saḳht din apne is ummīd pe guzre 'ḳhushtar'
aaoge aaoge ab aaoge ab aaoge