ham dasht se har shaam yahī soch ke ghar aa.e
shāyad ki kisī shab tire aane kī ḳhabar aa.e
mālūm kise shahr-e-tilismāt kā rasta
kuchh duur mire saath to mahtāb-e-safar aa.e
is phuul se chehre kī talab rāhat-e-jāñ hai
pheñke koī patthar bhī to ehsāñ mire sar aa.e
tā phir na mujhe tīra-nasībī kā gilā ho
ye sub.h kā sūraj mirī āñkhoñ meñ utar aa.e
ab aage alam aur koī hāthoñ se le le
ham shab ke musāfir the chale tā-ba-sahar aa.e