Asghar Gorakhpuri

ek umr mah-o-sal ki Thokar mein raha hun

Asghar Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1927-1981
ik umr mah-o-sāl kī Thokar meñ rahā huuñ
maiñ sañg sahī phir bhī sar-e-rāh-e-vafā huuñ
aap apne hī nā-karda gunāhoñ kī sazā huuñ
āvāz huuñ lekin tire hoñToñ se judā huuñ
kyā kam hai ki rusvā-e-jahāñ huuñ tirī ḳhātir
maiñ daaġh huuñ lekin tire māthe pe sajā huuñ
paanī meñ nazar aatī hai ik chāñd sī sūrat
pyāsā huuñ magar der se dariyā pe khaḌā huuñ
ik tū hī nahīñ aur bhī ḳhūbān-e-jahāñ haiñ
tujh ko nahīñ paayā hai to auroñ se milā huuñ
sab des mire des haiñ sab log mire log
kyā jāniye maiñ kaun sī miTTī kā banā huuñ
Top Urdushayar.com