Abrar Ahmad

ye yaqin ye guman hi mumkin hai

Abrar Ahmad

Jaranwala, Punjab, Pakistan

1954
ye yaqīñ ye gumāñ hī mumkin hai
tujh se milnā yahāñ hī mumkin hai
ḳhvāb ik mumkin o mayassar kā
garche us kā bayāñ hī mumkin hai
behad o be-hisāb shauq meñ bhī
qasd kū-e-butāñ hī mumkin hai
tañgnā-e-jahān-e-zāhir meñ
ye zamīñ ye zamāñ hī mumkin hai
had se had is rah-e-hazīmat meñ
pursish-rah-ravāñ hī mumkin hai
ātish-e-dil pe Dālne ke liye
reg-e-rāh-e-ravāñ hī mumkin hai
sarhad-e-mumkināt se aage
sar pe ik āsmāñ hī mumkin hai
aan baiThe ki jī lagāne ko
sohbat-e-dostāñ hī mumkin hai
arsa-e-zindagī meñ terī mirī
sirf ik dāstāñ hī mumkin hai
kyā tamāshā hai yaañ uThāne ko
ek bār-e-girāñ hī mumkin hai
Top Urdushayar.com