Abrar Ahmad

koi soche na hamein koi pukara na kare

Abrar Ahmad

Jaranwala, Punjab, Pakistan

1954
koī soche na hameñ koī pukārā na kare
ham kahīñ haiñ ki nahīñ haiñ koī charchā na kare
raat afsūñ hai kahīñ kā nahīñ rahne detī
din ko so.e na koī raat ko jaagā na kare
ham nikal aa.e haiñ ab dhuup meñ jalne ke liye
koī bādal nahīñ bheje koī saaya na kare
an-ginat āñkhoñ meñ ham jalte rahe bujhte rahe
ab bhale ḳhvāb hamārā koī dekhā na kare
ham ne ik shahr basā rakkhā hai dīvāroñ meñ
kaam jo dil ne kiyā chashm-e-tamāshā na kare
koī ab jā ke zarā dekhe to us miTTī ko
aise sairāb kiyā hai koī dariyā na kare
go farāmoshī kī takmīl huā chāhtī hai
phir bhī kah do ki hameñ yaad vo aayā na kare
ham use ranj-e-tamannā se to bhar sakte haiñ
aur ye dil hai ki ab koī taqāzā na kare
vaar karnā hai agar ham pe to vo khul kar aa.e
aur bhūle se bhī ye kaam vo tanhā na kare
Top Urdushayar.com