Abrar Ahmad

ye bhi to kamal ho gaya hai

Abrar Ahmad

Jaranwala, Punjab, Pakistan

1954
ye bhī to kamāl ho gayā hai
zāhir vo jamāl ho gayā hai
jis kaam meñ ham ne haath Daalā
vo kaam muhāl ho gayā hai
guzrī huī umar kā har ik pal
minnat-kash-e-hāl ho gayā hai
dil kaun sā tāza-dam thā pahle
ab aur niDhāl ho gayā hai
kuchh roz jo din phire haiñ apne
vo shāmil-e-hāl ho gayā hai
jo ḳhvāb se ḳhuun se kamāyā
vo muft kā maal ho gayā hai
ye dekh ki tere sāmne kaun
sar-tā-pā savāl ho gayā hai
ai ḳhauf-e-zavāl tere hāthoñ
sab rū-ba-zavāl ho gayā hai
Top Urdushayar.com