Iqbal Sajid

tum mujhe bhi kanch ki poshak pahnane lage

Iqbal Sajid

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1932-1988
tum mujhe bhī kāñch kī poshāk pahnāne lage
maiñ jise dekhūñ vahī patthar nazar aane lage
be-sabab ghar se nikal kar aa ga.e bāzār meñ
aa.ina dekhā nahīñ tasvīr chhapvāne lage
dasht meñ pahuñche to tanhā.ī mukammal ho ga.ī
baḌh ga.ī vahshat to phir ḳhud se hī Takrāne lage
ḳhuun kā nashsha chaḌhā to jism zahrīlā huā
ḳhvāhishoñ ke pāniyoñ meñ saañp lahrāne lage
kuchh nahīñ hai zehn meñ to vahm kī shakleñ banā
raushnī hogī agar saa.e nazar aane lage
dekhnā chāhā to vo āñkhoñ se ojhal ho gayā
chūmnā chāhā to mere hoñT pathrāne lage
rañg āḳhir le hī aayā merī sochoñ kā jumūd
barf ke sūraj balā kī dhuup phailāne lage
chal paḌe to ho liye 'iqbāl-sājid' apne saath
thak ga.e to apne hī saa.e haiñ sustāne lage
Top Urdushayar.com