hameñ ḳhabar nahīñ kuchh kaun hai kahāñ koī hai
hamesha shaad ho ābād ho jahāñ koī hai
jagah na chhoḌe ki sail-e-balā hai tez bahut
uḌā paḌā hī rahe ab jahāñ tahāñ koī hai
fishār-e-girya kisī taur be-maqām nahīñ
dayār-e-ġham hai kahīñ par pas-e-fuġhāñ koī hai
vo koī ḳhadsha hai yā vahm-e-ḳhvāb hai ki ḳhayāl
ki ho na ho mire dil apne darmiyāñ koī hai
kabhī to aisā hai jaise kahīñ pe kuchh bhī nahīñ
kabhī ye lagtā hai jaise yahāñ vahāñ koī hai
kabhī kabhī to ye lagtā hai fard fard haiñ ham
ye aur baat hamārā bhī kārvāñ koī hai
kahīñ pahuñchnā nahīñ hai use magar phir bhī
misāl-e-bād-e-bahārāñ ravāñ-davāñ koī hai
huā hai apne safar se hazar se begāna
vahīñ vahīñ pe nahīñ hai jahāñ jahāñ koī hai
chhalak jo uThtī hai ye aañkh fart-e-vasl meñ bhī
to sarḳhushī meñ abhī ranj-e-rā.egāñ koī hai
shikast-e-dil hai to kyā rāh-e-ishq tark na kar
ye dekh kyā kahīñ parvarda-e-ziyāñ koī hai
ab us nigāh-e-fusūñ-kār kā qusūr hai kyā
hameñ dikhāo agar zaḳhm kā nishāñ koī hai
kahīñ pe aaj bhī vo ghar hai hañstā bastā huā
ye vahm sā hai tire dil ko yā gumāñ koī hai
javār-e-qarya-e-yārāñ meñ jā nikaltā huuñ
ki jaise ab bhī vahīñ merā mehrbāñ koī hai