hamāre beach agarche rahā nahīñ kuchh bhī
magar ye dil hai abhī māntā nahīñ kuchh bhī
ham us ke ġham ko in āñkhoñ meñ le ke phirte haiñ
magar vo shaḳhs hameñ jāntā nahīñ kuchh bhī
ye kaisī dhuul sī rāhoñ meñ uḌtī phirtī hai
tū ai musāfir-e-jāñ kyā bachā nahīñ kuchh bhī
ham apne apne dil-o-jāñ kī ḳhair māñgte haiñ
ye ijz kuchh bhī nahīñ hai anā nahīñ kuchh bhī
bas ek manzar-e-ḳhālī maiñ uuñgh letā huuñ
vo ḳhush-nazar hai magar dekhtā nahīñ kuchh bhī
tū bol uThtā hai ham ko bhalā bhī lagtā hai
magar tū yaar mire sochtā nahīñ kuchh bhī
kahīñ pe ho ki na ho izzat-e-gunah-gārāñ
magar yahāñ koī tere sivā nahīñ kuchh bhī
gumāñ to ḳhair mohabbat kā thā par ab is se
ba-sū-e-rañj-talab vāsta nahīñ kuchh bhī
hamāre haal pe tum ko malāl tak bhī nahīñ
to kyā jo rabt hamārā thaa, thā nahīñ kuchh bhī
kabhī jo aao to ham ko jo tum se kahnī hai
yūñhī sī baat hai ab mudda.ā nahīñ kuchh bhī