Abrar Ahmad

tujhse wabastagi rahegi abhi

Abrar Ahmad

Jaranwala, Punjab, Pakistan

1954
tujh se vābastagī rahegī abhī
dil ko ye bekalī rahegī abhī
sar ko dīvār hī nahīñ miltī
so ye dīvāngī rahegī abhī
koī din fursat-e-tamannā hai
koī din sar ḳhushī rahegī abhī
kāsa-e-umr bhar chukā phir bhī
kahīñ koī kamī rahegī abhī
shab vahī hai jamāl-e-ḳhvāb vahī
aañkh apnī lagī rahegī abhī
jis qayāmat kī aamad aamad hai
vo qayāmat Talī rahegī abhī
ham yaqīnan yahāñ nahīñ hoñge
ġhāliban zindagī rahegī abhī
kuchh abhī ranj-e-ārzū hai hameñ
aañkh meñ kuchh namī rahegī abhī
tū abhī mubtalā-e-duniyā nahīñ
tujh meñ ye sādgī rahegī abhī
lā-ta.alluq huuñ us ta.alluq se
aur ye dostī rahegī abhī
jī uchaTtā nahīñ hai lagtā nahīñ
so ye begānagī rahegī abhī
kahīñ koī charāġh jaltā hai
kuchh na kuchh raushnī rahegī abhī
Top Urdushayar.com