Abrar Ahmad

aur kya rah gaya hai hone ko

Abrar Ahmad

Jaranwala, Punjab, Pakistan

1954
aur kyā rah gayā hai hone ko
ek aañsū nahīñ hai rone ko
ḳhvāb achchhe raheñge an-dekhe
ḳhaak achchhī rahegī sone ko
tū kahīñ baiTh aur hukm chalā
ham jo haiñ terā bojh Dhone ko
chashm-e-nam chaar ashk aur idhar
daaġh ik rah gayā hai dhone ko
baiThne ko jagah nahīñ miltī
kyā kareñ oḌhne-bichhaune ko
ye mah o saal chand baaqī haiñ
aur kuchh bhī nahīñ hai khone ko
nā-rasā.ī kā rañj laa.e haiñ
tere dil meñ kahīñ samone ko
aaj kī raat jaag lo yaaro
vaqt phir hashr tak hai sone ko
yaad bhī terī miT ga.ī dil se
aur kyā rah gayā hai hone ko
Top Urdushayar.com